lafzon se taswir banate rahte hain
lafzoñ se tasvīr banāte rahte haiñ
jaise-taise jī bahlāte rahte haiñ
qatre meñ dariyā kā jab dīdār huā
ham dāman ke daaġh dikhāte rahte haiñ
un se shāyad janm janm kā rishta hai
peḌ parinde hameñ bulāte rahte haiñ
jab se chehrā dekhā un kī āñkhoñ meñ
ā.īne se aañkh churāte rahte haiñ
bārish panchhī ḳhushbū jharnā phuul charāġh
ham ko kyā kyā yaad dilāte rahte haiñ
un ke dil meñ ḳhvāhish kyoñ ho sāhil kī
tūfānoñ se jo Takrāte rahte haiñ
jin se phal aur saaya milnā mushkil hai
ham aise bhī peḌ lagāte rahte haiñ
naqsh-e-pā se bach kar chaltā huuñ aksar
ye rasta dushvār banāte rahte haiñ
ik na ik din jab bujhnā hai sab ko 'nisār'
kyoñ āñdhī se log Darāte rahte haiñ
lafzon se taswir banate rahte hain
jaise-taise ji bahlate rahte hain
qatre mein dariya ka jab didar hua
hum daman ke dagh dikhate rahte hain
un se shayad janm janm ka rishta hai
peD parinde hamein bulate rahte hain
jab se chehra dekha un ki aankhon mein
aaine se aankh churaate rahte hain
barish panchhi KHushbu jharna phul charagh
hum ko kya kya yaad dilate rahte hain
un ke dil mein KHwahish kyon ho sahil ki
tufanon se jo Takraate rahte hain
jin se phal aur saya milna mushkil hai
hum aise bhi peD lagate rahte hain
naqsh-e-pa se bach kar chalta hun aksar
ye rasta dushwar banate rahte hain
ek na ek din jab bujhna hai sab ko 'nisar'
kyon aandhi se log Daraate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.