lag gai aag tabassum ke sharar hone tak

lag gai aag tabassum ke sharar hone tak
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
lag ga.ī aag tabassum ke sharar hone tak
dil jigar daaġh bane chashm ke tar hone tak
zulmat-e-shab meñ harīfoñ se yahī kahnā thā
na sahar hogī kabhī ḳhūn-e-jigar hone tak
vaqt ne sāmne dīvār khaḌī kar dī hai
kyoñ na ḳhāmosh rahe 'ishq sahar hone tak
bazm-e-jānāñ kā sitam bazm-e-harīfāñ kā ḳhatar
jaa.eñ to jaa.eñ kahāñ 'umr basar hone tak
lafz ke shīshagaro zeb nahīñ sang-e-anā
guftugū narm rahe ḳhatm-e-safar hone tak
shauq-e-dīdār uThā degā hijābāt-e-nazar
diid hotī hī nahīñ husn-e-nazar hone tak
khīñch laa.ī hai kahāñ ham ko tirī yaad 'adīb'
luT ga.e raah meñ ham tujh ko ḳhabar hone tak
lag gai aag tabassum ke sharar hone tak
dil jigar dagh bane chashm ke tar hone tak
zulmat-e-shab mein harifon se yahi kahna tha
na sahar hogi kabhi KHun-e-jigar hone tak
waqt ne samne diwar khaDi kar di hai
kyon na KHamosh rahe 'ishq sahar hone tak
bazm-e-jaanan ka sitam bazm-e-harifan ka KHatar
jaen to jaen kahan 'umr basar hone tak
lafz ke shishagaro zeb nahin sang-e-ana
guftugu narm rahe KHatm-e-safar hone tak
shauq-e-didar uTha dega hijabaat-e-nazar
did hoti hi nahin husn-e-nazar hone tak
khinch lai hai kahan hum ko teri yaad 'adib'
luT gae rah mein hum tujh ko KHabar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.