lag na jae hum ko jangal ki KHabar
lag na jaa.e ham ko jangal kī ḳhabar
rakh liyā kar apne pāgal kī ḳhabar
pyaar par gar shak nahīñ to phir tujhe
chāhiye kyoñ merī pal-pal kī ḳhabar
aap the guzre hue us raah se
aap de sakte the daldal kī ḳhabar
miT ga.e saa.e daraḳhtoñ ke sabhī
shahr ko kis ne dī jangal kī ḳhabar
jo gila-shikva hai kar lo aaj tum
kuchh nahīñ 'shādāb' ke kal kī ḳhabar
lag na jae hum ko jangal ki KHabar
rakh liya kar apne pagal ki KHabar
pyar par gar shak nahin to phir tujhe
chahiye kyon meri pal-pal ki KHabar
aap the guzre hue us rah se
aap de sakte the daldal ki KHabar
miT gae sae daraKHton ke sabhi
shahr ko kis ne di jangal ki KHabar
jo gila-shikwa hai kar lo aaj tum
kuchh nahin 'shadab' ke kal ki KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.