lag raha hai aaj mere dil mein aisa shor hai
lag rahā hai aaj mere dil meñ aisā shor hai
har taraf bādal haiñ kaale aur barpā shor hai
zehn ke ḳhālī darīchoñ se koī jhāñkā ki ab
paañv rakhtī huuñ uThātī huuñ to uThtā shor hai
ġham lagī jab bāñTne to dil yahī kahne lagā
raaz ifshā na karo duniyā meñ barpā shor hai
dil samundar aur pyāsā sāniha kuchh hai 'ajab
ḳhvāhishoñ kī pyaas dekho hashr jaisā shor hai
hai ḳhushī hī ibtidā aur ġham hai is kī intihā
kaisā phir karb-e-musalsal phir ye kaisā shor hai
maiñ huuñ chehra vaqt kā aur hausle dekho zarā
habs hai chāroñ taraf aur bārishoñ kā shor hai
sab parinde bach ga.e haiñ mausamoñ kī gard se
ab 'bahār'-e-gulsitāñ aa.ī ye uThtā shor hai
lag raha hai aaj mere dil mein aisa shor hai
har taraf baadal hain kale aur barpa shor hai
zehn ke KHali darichon se koi jhanka ki ab
panw rakhti hun uThati hun to uThta shor hai
gham lagi jab banTne to dil yahi kahne laga
raaz ifsha na karo duniya mein barpa shor hai
dil samundar aur pyasa saniha kuchh hai 'ajab
KHwahishon ki pyas dekho hashr jaisa shor hai
hai KHushi hi ibtida aur gham hai is ki intiha
kaisa phir karb-e-musalsal phir ye kaisa shor hai
main hun chehra waqt ka aur hausle dekho zara
habs hai chaaron taraf aur barishon ka shor hai
sab parinde bach gae hain mausamon ki gard se
ab 'bahaar'-e-gulsitan aai ye uThta shor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.