laga hun bolne to baDbaDa raha hun main
lagā huuñ bolne to baḌbaḌā rahā huuñ maiñ
ḳhamosh rahne kī qīmat chukā rahā huuñ maiñ
har ek shaḳhs tirā rishta-dār lagtā hai
har ek shaḳhs ko ḳhātir meñ lā rahā huuñ maiñ
talāsh kar ke na.e zāviye mohabbat ke
ka.ī diloñ ko dhḌaknā sikhā rahā huuñ maiñ
zarūratan kabhī qīmat girā.ī thī apnī
natījatan ab aziyyat uThā rahā huuñ maiñ
dar-asl apne garebāñ kā paas hai mujh ko
ye har kisī se jo dāman bachā rahā huuñ maiñ
maiñ rakh rahā huuñ bahar-hāl apne naam kī laaj
shikasta-dil huuñ magar muskurā rahā huuñ maiñ
laga hun bolne to baDbaDa raha hun main
KHamosh rahne ki qimat chuka raha hun main
har ek shaKHs tera rishta-dar lagta hai
har ek shaKHs ko KHatir mein la raha hun main
talash kar ke nae zawiye mohabbat ke
kai dilon ko dhDakna sikha raha hun main
zaruratan kabhi qimat girai thi apni
natijatan ab aziyyat uTha raha hun main
dar-asl apne gareban ka pas hai mujh ko
ye har kisi se jo daman bacha raha hun main
main rakh raha hun bahar-haal apne nam ki laj
shikasta-dil hun magar muskura raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.