Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laga kuchh aisa ki nabz-e-hayat ruk si gai

Shareef Ahmad Qureshi

laga kuchh aisa ki nabz-e-hayat ruk si gai

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    lagā kuchh aisā ki nabz-e-hayāt ruk ga.ī

    kisī ke hoñToñ pe jab aa ke baat ruk ga.ī

    kisī ke dam se the gardish meñ āsmān-o-zamīñ

    kisī ke rukte ye kā.enāt ruk ga.ī

    Thahar sakī na kahīñ jagmagātī bastī meñ

    mire makān meñ aa.ī to raat ruk ga.ī

    samajh liyā thā ki tīra-shabī hai apnā nasīb

    charāġh-e-azm jalāte raat ruk ga.ī

    jalā ke kashtiyāñ jab azm-e-nau ke saath baḌhe

    jo ho rahī thī musalsal vo maat ruk ga.ī

    use maiñ kaif-e-dil-o-jāñ kahūñ ki mauj-e-sarāb

    hayāt ruk ga.ī hai mamāt ruk ga.ī

    mirā vajūd vaj.h-e-fasād thā shāyad

    bahā ke ḳhuun mirā vārdāt ruk ga.ī

    fazā-e-shahr mukaddar huī hai jab se 'sharīf'

    har aarzū suhānī barāt ruk ga.ī

    laga kuchh aisa ki nabz-e-hayat ruk si gai

    kisi ke honTon pe jab aa ke baat ruk si gai

    kisi ke dam se the gardish mein aasman-o-zamin

    kisi ke rukte hi ye kaenat ruk si gai

    Thahar saki na kahin jagmagati basti mein

    mere makan mein aai to raat ruk si gai

    samajh liya tha ki tira-shabi hai apna nasib

    charagh-e-azm jalate hi raat ruk si gai

    jala ke kashtiyan jab azm-e-nau ke sath baDhe

    jo ho rahi thi musalsal wo mat ruk si gai

    use main kaif-e-dil-o-jaan kahun ki mauj-e-sarab

    hayat ruk si gai hai mamat ruk si gai

    mera wajud hi wajh-e-fasad tha shayad

    baha ke KHun mera wardat ruk si gai

    faza-e-shahr mukaddar hui hai jab se 'sharif'

    har aarzu ki suhani baraat ruk si gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now