laga majnun ko zahr-e-ishq kya aab-e-baqa ho kar
lagā majnūñ ko zahr-e-ishq kyā āb-e-baqā ho kar
vo zinda ho gayā goyā mohabbat meñ fanā ho kar
bane the mehmāñ āġhāz-e-ulfat meñ mire dil meñ
makīn-e-mustaqil ab ban ga.e shīrīñ-adā ho kar
miTāte jo rahe mujh ko mujassam zulm ban ban kar
unhīñ ke dil pe maiñ ubhrā kiyā naqsh-e-vafā ho kar
unhīñ ko jalva-rezī ban ga.ī thī chāñdnī ġham kī
ufuq pe dil kī vo chamkā kiye māh-e-azā ho kar
kuchh aisī thī kashish mujh meñ ḳhirāj-e-husn bhī paayā
huā mash.hūr maiñ ishq-o-mohabbat kā ḳhudā ho kar
Thikāna yād-e-māzī kā agar hai to mirā dil hai
kahāñ par jā.eñgī 'sartāj' vo dil se judā ho kar
laga majnun ko zahr-e-ishq kya aab-e-baqa ho kar
wo zinda ho gaya goya mohabbat mein fana ho kar
bane the mehman aaghaz-e-ulfat mein mere dil mein
makin-e-mustaqil ab ban gae shirin-ada ho kar
miTate jo rahe mujh ko mujassam zulm ban ban kar
unhin ke dil pe main ubhra kiya naqsh-e-wafa ho kar
unhin ko jalwa-rezi ban gai thi chandni gham ki
ufuq pe dil ki wo chamka kiye mah-e-aza ho kar
kuchh aisi thi kashish mujh mein KHiraj-e-husn bhi paya
hua mashhur main ishq-o-mohabbat ka KHuda ho kar
Thikana yaad-e-mazi ka agar hai to mera dil hai
kahan par jaengi 'sartaj' wo dil se juda ho kar
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 156)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.