laga tha yun kisi unchi uDan se utre
lagā thā yuuñ kisī ūñchī uḌaan se utre
tasavvurāt ke jab lā-makān se utre
shajar kī bāñhoñ meñ soī havā ko na chheḌo
thakan kā bojh to kuchh jism-o-jān se utre
maiñ dekh to luuñ zamāne ke tevaroñ kā rang
vo thoḌī der ko hī mere dhyān se utre
chamak ke ḳhushiyoñ kā sūraj bhī thak gayā āḳhir
udāsiyoñ ke na saa.e makān se utre
anā yuuñ ghaat meñ baiThī rahegī kitnī der
kabhī to mere badan ke machān se utre
bulandiyoñ kī masāfat kā dam nahīñ mujh meñ
mire liye koī chashma chaTān se utre
gulāb-rut meñ bhī itnī udāsiyāñ 'farhat'
tire liye to iram āsmān se utre
laga tha yun kisi unchi uDan se utre
tasawwuraat ke jab la-makan se utre
shajar ki banhon mein soi hawa ko na chheDo
thakan ka bojh to kuchh jism-o-jaan se utre
main dekh to lun zamane ke tewaron ka rang
wo thoDi der ko hi mere dhyan se utre
chamak ke KHushiyon ka suraj bhi thak gaya aaKHir
udasiyon ke na sae makan se utre
ana yun ghat mein baiThi rahegi kitni der
kabhi to mere badan ke machan se utre
bulandiyon ki masafat ka dam nahin mujh mein
mere liye koi chashma chaTan se utre
gulab-rut mein bhi itni udasiyan 'farhat'
tere liye to iram aasman se utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.