lage hain sal kai baadalon ko aate hue
lage haiñ saal ka.ī bādaloñ ko aate hue
daraḳht suukh ga.e dhuup meñ nahāte hue
safar ye ishq kā dushvār ho gayā kitnā
maiñ kho gayā huuñ use rāsta batāte hue
ai kaash niiñd ko koī mirā pata de de
tamām ḳhvāb haiñ āñkhoñ meñ kasmasāte hue
hai iḳhtiyār udāsī kā is qadar mujh par
maiñ ro paḌā huuñ ka.ī baar muskurāte hue
na jaane kis tarah us ne ġhazal kahī hogī
mirā to dam sā nikaltā hai gungunāte hue
lage hain sal kai baadalon ko aate hue
daraKHt sukh gae dhup mein nahate hue
safar ye ishq ka dushwar ho gaya kitna
main kho gaya hun use rasta batate hue
ai kash nind ko koi mera pata de de
tamam KHwab hain aankhon mein kasmasate hue
hai iKHtiyar udasi ka is qadar mujh par
main ro paDa hun kai bar muskuraate hue
na jaane kis tarah us ne ghazal kahi hogi
mera to dam sa nikalta hai gungunate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.