lagta hai jaise pyar mein shiddat badal gai
lagta hai jaise pyar mein shiddat badal gai
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
lagtā hai jaise pyaar meñ shiddat badal ga.ī
pahle thī jaisī merī vo hālat badal ga.ī
jo roz khul ke sab ko khilātā thā raat din
aa.ī ḳhizāñ to us kī bhī rangat badal ga.ī
bahne lagā vo bahtī havāoñ ke saath saath
vo bad-nasīb jis kī mohabbat badal ga.ī
aisī chalī thī zulm kī āñdhī har ik taraf
jo sāmne thī sab ke haqīqat badal ga.ī
hākim kī maslahat kā zarā saath kyā milā
jo the sharīf un kī sharāfat badal ga.ī
vo pahle ham ko ḳhuub satātā thā phone par
badlā vo jab to us kī shikāyat badal ga.ī
vo shahr jis meñ rahte the 'minhāj' ham kabhī
chhoḌā jo ham ne us kī nazākat badal ga.ī
lagta hai jaise pyar mein shiddat badal gai
pahle thi jaisi meri wo haalat badal gai
jo roz khul ke sab ko khilata tha raat din
aai KHizan to us ki bhi rangat badal gai
bahne laga wo bahti hawaon ke sath sath
wo bad-nasib jis ki mohabbat badal gai
aisi chali thi zulm ki aandhi har ek taraf
jo samne thi sab ke haqiqat badal gai
hakim ki maslahat ka zara sath kya mila
jo the sharif un ki sharafat badal gai
wo pahle hum ko KHub satata tha phone par
badla wo jab to us ki shikayat badal gai
wo shahr jis mein rahte the 'minhaj' hum kabhi
chhoDa jo hum ne us ki nazakat badal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.