lagta hai koi jalwa-numa hai charagh mein
lagtā hai koī jalva-numā hai charāġh meñ
ik rañg raushnī se judā hai charāġh meñ
lau thartharā.ī thī ki maiñ sajde meñ gir paḌā
ik vahm sā huā thā ḳhudā hai charāġh meñ
siine meñ jagmagātā hai dil dil meñ terā ishq
goyā koī charāġh rakhā hai charāġh meñ
DaT to gayā hai tez havāoñ ke sāmne
ab dekhnā hai kitnī anā hai charāġh meñ
sho.ale kī har lapak meñ jhalak hai jamāl kī
ye kaun aa ke baiTh gayā hai charāġh meñ
khiñchte haiñ shaam hī se dil-o-dīda is taraf
e.ajāz hai karishma hai kyā hai charāġh meñ
'ansar' kuchh is tarah se lapaktī haiñ āñdhiyāñ
jaise koī ḳhazāna chhupā hai charāġh meñ
lagta hai koi jalwa-numa hai charagh mein
ek rang raushni se juda hai charagh mein
lau thartharai thi ki main sajde mein gir paDa
ek wahm sa hua tha KHuda hai charagh mein
sine mein jagmagata hai dil dil mein tera ishq
goya koi charagh rakha hai charagh mein
DaT to gaya hai tez hawaon ke samne
ab dekhna hai kitni ana hai charagh mein
shoale ki har lapak mein jhalak hai jamal ki
ye kaun aa ke baiTh gaya hai charagh mein
khinchte hain sham hi se dil-o-dida is taraf
eajaz hai karishma hai kya hai charagh mein
'ansar' kuchh is tarah se lapakti hain aandhiyan
jaise koi KHazana chhupa hai charagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.