lagta hai mujhko jal se aage ki chiz hai
lagtā hai mujh ko jaal se aage kī chiiz hai
duniyā mire ḳhayāl se aage kī chiiz hai
har shāhkār us ne banāyā hai is tarah
dekho jise kamāl se aage kī chiiz hai
us se bichhaḌ ke sochā thā hogā malāl bas
us kā to ġham malāl se aage kī chiiz hai
roz-e-azal se sāmne muflis ke aaj tak
roTī har ik savāl se aage kī chiiz hai
maiñ kyā javāb duuñ use us kā har ik savāl
mere liye savāl se aage kī chiiz hai
koī kare to kaise karegā muvāzana
har shaḳhs hī 'jamāl' se aage kī chiiz hai
lagta hai mujh ko jal se aage ki chiz hai
duniya mere KHayal se aage ki chiz hai
har shahkar us ne banaya hai is tarah
dekho jise kamal se aage ki chiz hai
us se bichhaD ke socha tha hoga malal bas
us ka to gham malal se aage ki chiz hai
roz-e-azal se samne muflis ke aaj tak
roTi har ek sawal se aage ki chiz hai
main kya jawab dun use us ka har ek sawal
mere liye sawal se aage ki chiz hai
koi kare to kaise karega muwazana
har shaKHs hi 'jamal' se aage ki chiz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.