lagta hai rabt hi nahin subhon ke sath sath
lagtā hai rabt hī nahīñ sub.hoñ ke saath saath
shāmoñ meñ Dhal ga.ī huuñ maiñ shāmoñ ke saath saath
ab is se baḌh ke sāneha honā hai aur kyā
āñkheñ bhī jal bujhīñ mirī ḳhvāboñ ke saath saath
jholī meñ bhar ke chāñd kī kirneñ tirī taraf
chaltī rahī huuñ raat maiñ tāroñ ke saath saath
jānāñ tumhārī yaad ke mausam hare-bhare
rahte haiñ har ghaḌī mirī sāñsoñ ke saath saath
dekhā hai us ne mujh ko zamāne kī aañkh se
us ne jafā bhī kī hai vafāoñ ke saath saath
mujh par bhī ho nuzūl ujāloñ kā ai 'suman'
ḳhvāhish ye jaag uThtī hai rātoñ ke saath saath
lagta hai rabt hi nahin subhon ke sath sath
shamon mein Dhal gai hun main shamon ke sath sath
ab is se baDh ke saneha hona hai aur kya
aankhen bhi jal bujhin meri KHwabon ke sath sath
jholi mein bhar ke chand ki kirnen teri taraf
chalti rahi hun raat main taron ke sath sath
jaanan tumhaari yaad ke mausam hare-bhare
rahte hain har ghaDi meri sanson ke sath sath
dekha hai us ne mujh ko zamane ki aankh se
us ne jafa bhi ki hai wafaon ke sath sath
mujh par bhi ho nuzul ujalon ka ai 'suman'
KHwahish ye jag uThti hai raaton ke sath sath
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 590)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.