lagta nahin par yar hamara mushkil hai
lagtā nahīñ par yaar hamārā mushkil hai
vo jitnā āsān hai utnā mushkil hai
mujh ko ek junūñ thā tujh tak aane kā
hālāñki mā'lūm thā rastā mushkil hai
itnā ziyāda bikhar chukā huuñ maiñ ḳhud meñ
mujh ko ab tartīb meñ laanā mushkil hai
kaise ḳhvāb sajā.ūñ bhīgī āñkhoñ meñ
paanī par tasvīr banānā mushkil hai
maiñ to is dariyā meñ Dūbne utrā huuñ
merī kashtī paar lagānā mushkil hai
lagta nahin par yar hamara mushkil hai
wo jitna aasan hai utna mushkil hai
mujh ko ek junun tha tujh tak aane ka
haalanki ma'lum tha rasta mushkil hai
itna ziyaada bikhar chuka hun main KHud mein
mujh ko ab tartib mein lana mushkil hai
kaise KHwab sajaun bhigi aankhon mein
pani par taswir banana mushkil hai
main to is dariya mein Dubne utra hun
meri kashti par lagana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.