lagunga KHush magar naraaz hun main
lagūñgā ḳhush magar nārāz huuñ maiñ
zamāne kā nayā andāz huuñ maiñ
bahut ḳhush huuñ tumheñ ḳhush dekh kar maiñ
ye ġham bhī hai nazar-andāz huuñ maiñ
jise mujh par yaqīñ bilkul nahīñ hai
ik aise shaḳhs kā hamrāz huuñ maiñ
use anjām kī jaldī bahut thī
maiñ kahtā rah gayā āġhāz huuñ maiñ
faqat sunñā nahīñ mahsūs karnā
ḳhamoshī meñ chhupī āvāz huuñ maiñ
na.ī dhun par bajāyā jā rahā huuñ
purāne daur kā ik saaz huuñ maiñ
mujhe dushman samajhnā hai samajh lo
tumhārā dost huuñ dam-sāz huuñ maiñ
lagunga KHush magar naraaz hun main
zamane ka naya andaz hun main
bahut KHush hun tumhein KHush dekh kar main
ye gham bhi hai nazar-andaz hun main
jise mujh par yaqin bilkul nahin hai
ek aise shaKHs ka hamraaz hun main
use anjam ki jaldi bahut thi
main kahta rah gaya aaghaz hun main
faqat sunna nahin mahsus karna
KHamoshi mein chhupi aawaz hun main
nai dhun par bajaya ja raha hun
purane daur ka ek saz hun main
mujhe dushman samajhna hai samajh lo
tumhaara dost hun dam-saz hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.