laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye
laġhzish-e-gām liye laġhzish-e-mastāna liye
aa.e ham bazm meñ phir jur.at-e-rindāna liye
ishq pahlū meñ hai phir jalva-e-jānāna liye
zulf ik haath meñ ik haath meñ paimāna liye
yaad kartā thā hameñ sāqī-o-mīnā kā hujūm
uTh ga.e the jo kabhī raunaq-e-mai-ḳhāna liye
vasl kī sub.h shab-e-hijr ke ba.ad aa.ī hai
āftāb-e-ruḳh-e-mahbūb kā nazrāna liye
asr-e-hāzir ko mubārak ho nayā daur-e-avām
apnī Thokar meñ sar-e-shaukat-e-shāhāna liye
laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye
aae hum bazm mein phir jurat-e-rindana liye
ishq pahlu mein hai phir jalwa-e-jaanana liye
zulf ek hath mein ek hath mein paimana liye
yaad karta tha hamein saqi-o-mina ka hujum
uTh gae the jo kabhi raunaq-e-mai-KHana liye
wasl ki subh shab-e-hijr ke baad aai hai
aaftab-e-ruKH-e-mahbub ka nazrana liye
asr-e-hazir ko mubarak ho naya daur-e-awam
apni Thokar mein sar-e-shaukat-e-shahana liye
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 228)
- Author : Ali Ahmad Fatmi
- Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.