Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi

Yusuf Jamal

laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi

Yusuf Jamal

MORE BYYusuf Jamal

    laġhzisheñ tanhā.iyoñ sab batā jā.eñgī

    rañgateñ chehroñ is sūrat uḌā jā.eñgī

    ḳhushk peḌoñ par na.e mausam ugāne ke liye

    zard pattoñ ye tahrīreñ miTā jā.eñgī

    qaht nīñdoñ paḌegā chāhatoñ ke khet meñ

    ḳhvāb fasleñ agar saarī jalā jā.egī

    in sarāboñ meñ muqayyad mujh se qaidī ke liye

    kyā fasīleñ ret ūñchī uThā jā.eñgī

    phir samundar ke makānoñ bhī leñge jā.eza

    sīḌhiyāñ paanī tah tak jab banā jā.eñgī

    kyā ḳhabar thī shak ḳhātir dostī ke naam par

    aaj apnī āstīneñ bhī dikhā jā.eñgī

    jā.eza jab mere ghar lene vo aa.e 'jamāl'

    TuuTī phūTī hāñDiyāñ bhī khankhanā jā.eñgī

    laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi

    rangaten chehron ki is surat uDa di jaengi

    KHushk peDon par nae mausam ugane ke liye

    zard patton ki ye tahriren miTa di jaengi

    qaht nindon ka paDega chahaton ke khet mein

    KHwab ki faslen agar sari jala di jaegi

    in sarabon mein muqayyad mujh se qaidi ke liye

    kya fasilen ret ki unchi uTha di jaengi

    phir samundar ke makanon ka bhi lenge jaeza

    siDhiyan pani ki tah tak jab bana di jaengi

    kya KHabar thi shak ki KHatir dosti ke nam par

    aaj apni aastinen bhi dikha di jaengi

    jaeza jab mere ghar ka lene wo aae 'jamal'

    TuTi phuTi hanDiyan bhi khankhana di jaengi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now