lahad se munh chhupa kar roegi bimar ki hasrat
lahad se muñh chhupā kar ro.egī bīmār kī hasrat
vo hasrat uf re hasrat lazzat-e-āzār kī hasrat
qayāmat hai junūn-e-shauq-e-āfat-kār kī hasrat
sar-e-shorīda ko mahshar meñ hai dīvār kī hasrat
abhī hai jalva-e-yaktā hijāb-e-lan-tarānī meñ
kahāñ se aa ga.ī hai biich meñ takrār kī hasrat
kisī kī jaan niklegī kisī ke kaam nikleñge
mire ġham se hai vābasta mire ġham-ḳhvār kī hasrat
mire gosh-e-tamanna par bhī āḳhir rahm farmāo
ki maiñ huuñ aur fareb-e-vāda-e-dīdār kī hasrat
dil-e-nākām miTte miTte bhī sau rang lā.egā
abhī bāzār meñ hai garmī-e-bāzār kī hasrat
badalnā karvaToñ kā qabr meñ dekho ki lipTī hai
kafan ke saath āġhosh-e-visāl-e-yār kī hasrat
sitam ai garmī-e-andesha misl-e-rūh ghultī hai
dil-e-ḳhūñ-gashta meñ tāb-e-nigāh-e-yār kī hasrat
halāk-e-sheva-hā-e-bevafā.ī huuñ samajhtā huuñ
na niklī bul-havas kī aarzū aġhyār kī hasrat
na chheḌ ai zauq-e-dard-e-jāñkanī ḳhāmosh rahne de
khaTak jaatī hai dil meñ tāla-e-bāzār kī hasrat
'vafā' ik dam kī fursat aur phir ye kashmakash hai hai
ḳhayāl-e-ḳhvāb hai aur dīda-e-bedār kī hasrat
lahad se munh chhupa kar roegi bimar ki hasrat
wo hasrat uf re hasrat lazzat-e-azar ki hasrat
qayamat hai junun-e-shauq-e-afat-kar ki hasrat
sar-e-shorida ko mahshar mein hai diwar ki hasrat
abhi hai jalwa-e-yakta hijab-e-lan-tarani mein
kahan se aa gai hai bich mein takrar ki hasrat
kisi ki jaan niklegi kisi ke kaam niklenge
mere gham se hai wabasta mere gham-KHwar ki hasrat
mere gosh-e-tamanna par bhi aaKHir rahm farmao
ki main hun aur fareb-e-wada-e-didar ki hasrat
dil-e-nakaam miTte miTte bhi sau rang laega
abhi bazar mein hai garmi-e-bazar ki hasrat
badalna karwaTon ka qabr mein dekho ki lipTi hai
kafan ke sath aaghosh-e-visal-e-yar ki hasrat
sitam ai garmi-e-andesha misl-e-ruh ghulti hai
dil-e-KHun-gashta mein tab-e-nigah-e-yar ki hasrat
halak-e-shewa-ha-e-bewafai hun samajhta hun
na nikli bul-hawas ki aarzu aghyar ki hasrat
na chheD ai zauq-e-dard-e-jaankani KHamosh rahne de
khaTak jati hai dil mein tala-e-bazar ki hasrat
'wafa' ek dam ki fursat aur phir ye kashmakash hai hai
KHayal-e-KHwab hai aur dida-e-bedar ki hasrat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.