lahar pe bante bigaDte habab ki surat
lahar pe bante bigaḌte habāb kī sūrat
hameñ jo niiñd bhī aa.ī to ḳhvāb kī sūrat
yahīñ pe ek musavvir ne jaan de dī thī
banī na ret pe jab us se aab kī sūrat
ye haath likhne lage ishq be-ḳhayālī meñ
baġhaur tujh ko paḌhā jab kitāb kī sūrat
sajā.e phirte haiñ tamġhe kī tarah siine pe
ye ishq jiitā hai ham ne ḳhitāb kī sūrat
ye jin ragoñ meñ junūñ dauḌtā hai ḳhuuñ ban kar
unhīñ ne bāñdhā hai dil ko tanāb kī sūrat
nadī meñ Duub rahe tishna-dīd ne dekhā
nadī ke biich jazīra sarāb kī sūrat
lahar pe bante bigaDte habab ki surat
hamein jo nind bhi aai to KHwab ki surat
yahin pe ek musawwir ne jaan de di thi
bani na ret pe jab us se aab ki surat
ye hath likhne lage ishq be-KHayali mein
baghaur tujh ko paDha jab kitab ki surat
sajae phirte hain tamghe ki tarah sine pe
ye ishq jita hai hum ne KHitab ki surat
ye jin ragon mein junun dauDta hai KHun ban kar
unhin ne bandha hai dil ko tanab ki surat
nadi mein Dub rahe tishna-did ne dekha
nadi ke bich jazira sarab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.