lahje ka rang lafz ki KHushbu bhi dekh le
lahje kā rang lafz kī ḳhushbū bhī dekh le
aa mujh se kar kalām mujhe tū bhī dekh le
maiñ chaudhvīñ kā chāñd samundar tirā badan
merī kashish kā boltā jaadū bhī dekh le
khultā huuñ tere ruḳh kī sajal chāñdnī ke paas
pahchān le mujhe mirī ḳhushbū bhī dekh le
tū ḳhār-zār aur maiñ abr-e-barahna-pā
mere safar kā karb kabhī tū bhī dekh le
ik shab ridā-e-abr se bāhar nikal ke aa
kis kis ko hai nigāh pe qaabū bhī dekh le
mere lahū kī gūñjtī fariyād par na jā
āñkhoñ meñ apnī tairte aañsū bhī dekh le
manzil pe sirf chalte hue chāñd hī na dekh
chamke kahīñ jo raah meñ jugnū bhī dekh le
dast-e-sabā kī Therī huī loriyoñ se bach
dasht-e-vafā meñ chaltī huī lū bhī dekh le
ghere meñ āsmāñ ne tujhe le liyā to kyā
is daam se farār kā pahlū bhī dekh le
sachchā.ī kā 'alam tū uThātā to hai magar
kaTte haiñ is jihād meñ baazū bhī dekh le
barham hai roz-o-shab kā mizāj-e-sukūñ-pasand
bikhrā diye haiñ vaqt ne gesū bhī dekh le
gunjān pāniyoñ pe barasne se fā.eda
ai abr tishnagān-e-lab-e-jū bhī dekh le
'zulfī' jo mere tarz-e-adā kā asiir hai
vo kaash mere she'r kā jaadū bhī dekh le
lahje ka rang lafz ki KHushbu bhi dekh le
aa mujh se kar kalam mujhe tu bhi dekh le
main chaudhwin ka chand samundar tera badan
meri kashish ka bolta jadu bhi dekh le
khulta hun tere ruKH ki sajal chandni ke pas
pahchan le mujhe meri KHushbu bhi dekh le
tu KHar-zar aur main abr-e-barahna-pa
mere safar ka karb kabhi tu bhi dekh le
ek shab rida-e-abr se bahar nikal ke aa
kis kis ko hai nigah pe qabu bhi dekh le
mere lahu ki gunjti fariyaad par na ja
aankhon mein apni tairte aansu bhi dekh le
manzil pe sirf chalte hue chand hi na dekh
chamke kahin jo rah mein jugnu bhi dekh le
dast-e-saba ki Theri hui loriyon se bach
dasht-e-wafa mein chalti hui lu bhi dekh le
ghere mein aasman ne tujhe le liya to kya
is dam se farar ka pahlu bhi dekh le
sachchai ka 'alam tu uThata to hai magar
kaTte hain is jihad mein bazu bhi dekh le
barham hai roz-o-shab ka mizaj-e-sukun-pasand
bikhra diye hain waqt ne gesu bhi dekh le
gunjaan paniyon pe barasne se faeda
ai abr tishnagan-e-lab-e-ju bhi dekh le
'zulfi' jo mere tarz-e-ada ka asir hai
wo kash mere she'r ka jadu bhi dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.