lahje ko apne shahd ke jaisa bana liya
lahje ko apne shahd ke jaisā banā liyā
us ne tamām shahr ko apnā banā liyā
vo bhī kisī ke saath ab apne safar meñ haiñ
ham ne bhī un kī yaad ko rasta banā liyā
bachchoñ ke āñsuoñ meñ anā ġharq ho ga.ī
hāthoñ ko ek baap ne kaasa banā liyā
ūñchā makān biivī ke zevar ye gāḌiyāñ
tum ne zamīr bech ke kyā kyā banā liyā
darkār shakl pyaar kī āñkhoñ ko thī 'ratan'
kāġhaz pe ham ne hind kā naqshā banā liyā
lahje ko apne shahd ke jaisa bana liya
us ne tamam shahr ko apna bana liya
wo bhi kisi ke sath ab apne safar mein hain
hum ne bhi un ki yaad ko rasta bana liya
bachchon ke aansuon mein ana gharq ho gai
hathon ko ek bap ne kasa bana liya
uncha makan biwi ke zewar ye gaDiyan
tum ne zamir bech ke kya kya bana liya
darkar shakl pyar ki aankhon ko thi 'ratan'
kaghaz pe hum ne hind ka naqsha bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.