lahr ka KHwab ho ke dekhte hain
lahr kā ḳhvāb ho ke dekhte haiñ
chal tah-e-āb ho ke dekhte haiñ
us pe itnā yaqīn hai ham ko
us ko betāb ho ke dekhte haiñ
raat ko raat ho ke jaanā thā
ḳhvāb ko ḳhvāb ho ke dekhte haiñ
apnī arzāniyoñ ke sadqe ham
ḳhud ko nāyāb ho ke dekhte haiñ
sāhiloñ kī nazar meñ aanā hai
phir to ġharqāb ho ke dekhte haiñ
vo jo pāyāb kah rahā thā hameñ
us ko sailāb ho ke dekhte haiñ
lahr ka KHwab ho ke dekhte hain
chal tah-e-ab ho ke dekhte hain
us pe itna yaqin hai hum ko
us ko betab ho ke dekhte hain
raat ko raat ho ke jaana tha
KHwab ko KHwab ho ke dekhte hain
apni arzaniyon ke sadqe hum
KHud ko nayab ho ke dekhte hain
sahilon ki nazar mein aana hai
phir to gharqab ho ke dekhte hain
wo jo payab kah raha tha hamein
us ko sailab ho ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.