lahron ke musafir the kinaron ke makin the
lahroñ ke musāfir the kināroñ ke makīñ the
ham tīra-navard aise ki sub.hoñ ke makīñ the
ashkoñ ke libāde meñ nikal aa.e the ghar se
kuchh ḳhvāb pareshān sī āñkhoñ ke makīñ the
kuchh log qabīloñ kī rivāyāt se nikle
vo log jo sanglāḳh zamīnoñ ke makīñ the
is shahr ne fitrat pe baḌā zulm kiyā hai
ik chāñd thā kuchh phuul jo jhīloñ ke makīñ the
jiddat bharī duniyā meñ khaḌe soch rahe haiñ
tab ḳhuub the jab ham sabhī ġhāroñ ke makīñ the
ham log sitāroñ ko samajhte rahe 'sābir'
ham aise ki gum-gashta jazīroñ ke makīñ the
lahron ke musafir the kinaron ke makin the
hum tira-naward aise ki subhon ke makin the
ashkon ke libaade mein nikal aae the ghar se
kuchh KHwab pareshan si aankhon ke makin the
kuchh log qabilon ki riwayat se nikle
wo log jo sanglaKH zaminon ke makin the
is shahr ne fitrat pe baDa zulm kiya hai
ek chand tha kuchh phul jo jhilon ke makin the
jiddat bhari duniya mein khaDe soch rahe hain
tab KHub the jab hum sabhi ghaaron ke makin the
hum log sitaron ko samajhte rahe 'sabir'
hum aise ki gum-gashta jaziron ke makin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.