lahu bahta hai chhaalon se kaleja sukh jata hai
lahū bahtā hai chhāloñ se kaleja suukh jaatā hai
ġhamoñ kī dhuup meñ tapne se chehra suukh jaatā hai
sitam dekho firāq-e-yār meñ ro bhī nahīñ sakte
agar rote haiñ to āñkhoñ kā jharnā suukh jaatā hai
bhalā iz.hār ham kaise kareñ apnī tamanna kā
laboñ tak baat aatī hai to lahja suukh jaatā hai
sadā tum husn-e-zan rakhnā agar rishta nibhānā ho
ġhalat-fahmī ne dastak dī to rishta suukh jaatā hai
ziyāda pāsdārī 'ishq meñ achchhī nahīñ 'dānish'
agar paanī ziyāda do to paudā suukh jaatā hai
lahu bahta hai chhaalon se kaleja sukh jata hai
ghamon ki dhup mein tapne se chehra sukh jata hai
sitam dekho firaq-e-yar mein ro bhi nahin sakte
agar rote hain to aankhon ka jharna sukh jata hai
bhala izhaar hum kaise karen apni tamanna ka
labon tak baat aati hai to lahja sukh jata hai
sada tum husn-e-zan rakhna agar rishta nibhana ho
ghalat-fahmi ne dastak di to rishta sukh jata hai
ziyaada pasdari 'ishq mein achchhi nahin 'danish'
agar pani ziyaada do to pauda sukh jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.