Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu ka rang liye abr aasman mein hai

Mohammad Iqbal Ahmad

lahu ka rang liye abr aasman mein hai

Mohammad Iqbal Ahmad

MORE BYMohammad Iqbal Ahmad

    lahū rang liye abr āsmān meñ hai

    barastā ḳhuun har ik samt is jahān meñ hai

    khurachtā maañg sindūr hai jo shaḳhs yahāñ

    usī ko dekhiye sarkār amaan meñ hai

    kabhī to hogā tumhārā bhī ḳhātma zālim

    fazā meñ ghol ke zahr kis gumān meñ hai

    ḳhudā ko bāñTte jab tak raheñge log yahāñ

    miTegā fāsla kaise jo darmiyān meñ hai

    banā zamāna hai dushman mirā qadam-ba-qadam

    na jaane kaun kāñTā mirī zabān meñ hai

    samajh meñ aa.egī 'iqbāl' kyā zabān tirī

    abhī to qaum taa.ir kisī uḌaan meñ hai

    lahu ka rang liye abr aasman mein hai

    barasta KHun har ek samt is jahan mein hai

    khurachta mang ka sindur hai jo shaKHs yahan

    usi ko dekhiye sarkar ki aman mein hai

    kabhi to hoga tumhaara bhi KHatma zalim

    faza mein ghol ke tu zahr kis guman mein hai

    KHuda ko banTte jab tak rahenge log yahan

    miTega fasla kaise jo darmiyan mein hai

    bana zamana hai dushman mera qadam-ba-qadam

    na jaane kaun sa kanTa meri zaban mein hai

    samajh mein aaegi 'iqbaal' kya zaban teri

    abhi to qaum ka tair kisi uDan mein hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now