lahu ka raqs tha sanson ka irti’asha tha
lahū kā raqs thā sāñsoñ kā irti’āshā thā
mire badan meñ koī aur be-tahāsha thā
hayā ke chhilke utāre to sub.h hone tak
har ek ang kisī raushnī kā qāshā thā
haiñ dafn haal kī miTTī meñ dard maazī ke
ye zinda shahr kabhī muflisī kā lāsha thā
use bhī mashq ke marham ne Thiik kar Daalā
mire ḳhayāl ke chehre pe jo ḳharāshā thā
tanāb-e-jism pe hoñToñ kā raqs-kun kartab
guzashta shab kā tamāshā bhī kyā tamāshā thā
lahu ka raqs tha sanson ka irti’asha tha
mere badan mein koi aur be-tahasha tha
haya ke chhilke utare to subh hone tak
har ek ang kisi raushni ka qasha tha
hain dafn haal ki miTTi mein dard mazi ke
ye zinda shahr kabhi muflisi ka lasha tha
use bhi mashq ke marham ne Thik kar Dala
mere KHayal ke chehre pe jo KHarasha tha
tanab-e-jism pe honTon ka raqs-kun kartab
guzashta shab ka tamasha bhi kya tamasha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.