lahu ke aks mein mujhko shumar karta tha
lahū ke aks meñ mujh ko shumār kartā thā
vo shāḳh shāḳh ajab intishār kartā thā
Dhakel detā thā ḳhvāboñ ke ik jazīre meñ
duā bhī mere liye bār-bār kartā thā
nazar pe merī bichhātā thā sub.h-e-manzar-gīr
qadam pe mere shab-e-tār-tār kartā thā
tulū-e-sub.h se pahle vo Dūbtā thā magar
ġhurūb-e-shām se dil be-qarār kartā thā
jo ek shaḳhs akelā guzar gayā mujh se
batā.ūñ kaise ki vo kitnā pyaar kartā thā
sarā.e-jāñ meñ sajātā thā shām-shām ke rang
kuchh is tarah se mujhe be-shumār kartā thā
kabhī-kabhār jo miltā bhī thā añdheroñ meñ
to raushnī kā badan iḳhtiyār kartā thā
ye fā.eda to rahā is badan meñ rahne kā
vo mujh pe lutf-e-nazar baar baar kartā thā
barahna kar ke mire sāmne mirā saaya
zuhūr-e-zāt kā bas intizār kartā thā
ḳhamosh rahtā thā pahroñ hamāre dhyān meñ vo
aur āñdhiy.oñ meñ suḳhan baar baar kartā thā
dikhā sakā na koī khel barg-e-ḳhushk meñ vo
jo shāḳh-e-sabz meñ lail-o-nahār kartā thā
vo dūr-dūr dikhātā thā raqs-e-sho.ala-e-jāñ
baḌhūñ jo aage to mujh se farār kartā thā
uThā ke pheñktā mujh ko vahī ḳhalāoñ meñ
jo gard ban ke mujhe shahsavār kartā thā
maiñ vāqi.a huuñ usī zauq-e-kam-nasīb kā jo
balā-e-jāñ thā magar jāñ-nisār kartā thā
yahīñ kahīñ pe vo chuntā thā phuul yādoñ ke
yahīñ kahīñ pe mirā intizār kartā thā
kabhī kabhī vo utartā thā mere lahje meñ
kabhī kabhī to bahut be-qarār kartā thā
lahu ke aks mein mujh ko shumar karta tha
wo shaKH shaKH ajab intishaar karta tha
Dhakel deta tha KHwabon ke ek jazire mein
dua bhi mere liye bar-bar karta tha
nazar pe meri bichhata tha subh-e-manzar-gir
qadam pe mere shab-e-tar-tar karta tha
tulu-e-subh se pahle wo Dubta tha magar
ghurub-e-sham se dil be-qarar karta tha
jo ek shaKHs akela guzar gaya mujh se
bataun kaise ki wo kitna pyar karta tha
sarae-jaan mein sajata tha sham-sham ke rang
kuchh is tarah se mujhe be-shumar karta tha
kabhi-kabhaar jo milta bhi tha andheron mein
to raushni ka badan iKHtiyar karta tha
ye faeda to raha is badan mein rahne ka
wo mujh pe lutf-e-nazar bar bar karta tha
barahna kar ke mere samne mera saya
zuhur-e-zat ka bas intizar karta tha
KHamosh rahta tha pahron hamare dhyan mein wo
aur aandhiyon mein suKHan bar bar karta tha
dikha saka na koi khel barg-e-KHushk mein wo
jo shaKH-e-sabz mein lail-o-nahaar karta tha
wo dur-dur dikhata tha raqs-e-shoala-e-jaan
baDhun jo aage to mujh se farar karta tha
uTha ke phenkta mujh ko wahi KHalaon mein
jo gard ban ke mujhe shahsawar karta tha
main waqia hun usi zauq-e-kam-nasib ka jo
bala-e-jaan tha magar jaan-nisar karta tha
yahin kahin pe wo chunta tha phul yaadon ke
yahin kahin pe mera intizar karta tha
kabhi kabhi wo utarta tha mere lahje mein
kabhi kabhi to bahut be-qarar karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.