lahu ki baat karen aur chaman ki baat karen
lahū kī baat kareñ aur chaman kī baat kareñ
kuchh apnī baat kareñ kuchh vatan kī baat kareñ
kahīñ na teġhzanī ho kahīñ na ḳhuun bahe
jo mil ke ham kabhī gang-o-jaman kī baat kareñ
vo guftugū ho guloñ kī ki ho chaman kā ḳhayāl
to sab se pahle ham us ke badan kī baat kareñ
jhulas rahā hai jo nafrat kī aag meñ gulshan
to kyoñ na bulbuleñ ranj-o-mehan kī baat kareñ
jahāñ ke aish-o-tarab ko davām hai hāsil
'sanā' se kahiye usī anjuman kī baat kareñ
lahu ki baat karen aur chaman ki baat karen
kuchh apni baat karen kuchh watan ki baat karen
kahin na teghzani ho kahin na KHun bahe
jo mil ke hum kabhi gang-o-jaman ki baat karen
wo guftugu ho gulon ki ki ho chaman ka KHayal
to sab se pahle hum us ke badan ki baat karen
jhulas raha hai jo nafrat ki aag mein gulshan
to kyon na bulbulen ranj-o-mehan ki baat karen
jahan ke aish-o-tarab ko dawam hai hasil
'sana' se kahiye usi anjuman ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.