lahu ki dhaar se jazbon ki tughyani se niklunga
![Muhammad Shakeel Akhtar Muhammad Shakeel Akhtar](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/muhammad-shakeel-akhtar.png)
lahu ki dhaar se jazbon ki tughyani se niklunga
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
lahū kī dhaar se jazboñ kī tuġhyānī se niklūñgā
maiñ sajda ban ke ik din terī peshānī se niklūñgā
tirī āñkhoñ se hoñToñ kā safar mamnū' hai to phir
samundar ban ke terī āñkhoñ ke paanī se niklūñgā
chamak aa.ī hai āñkhoñ meñ musalsal ratjage pā kar
maiñ sūraj ban ke furqat kī farāvānī se niklūñgā
agar uljhūñgā lahje se tire ho jā.uñgā paspā
maiñ apne zabt kī had se pareshānī se niklūñgā
mohabbat kī shu'ā'oñ se bikhar kar rah ga.ī hastī
maiñ kaise hasratoñ kī ab nigahbānī se niklūñgā
basāyā hai muqaddar ne mujhe terī lakīroñ meñ
agar niklā to maiñ apnī hī nādānī se niklūñgā
mirī hastī miTā denā nahīñ mumkin hai kūza-gar
agar miTTī meñ gūñdhegā to maiñ paanī se niklūñgā
maiñ ḳhud apnī musībat aap ban ke aayā huuñ 'aḳhtar'
fanā ho kar hī ab maiñ soz-e-lāfānī se niklūñgā
lahu ki dhaar se jazbon ki tughyani se niklunga
main sajda ban ke ek din teri peshani se niklunga
teri aankhon se honTon ka safar mamnu' hai to phir
samundar ban ke teri aankhon ke pani se niklunga
chamak aai hai aankhon mein musalsal ratjage pa kar
main suraj ban ke furqat ki farawani se niklunga
agar uljhunga lahje se tere ho jaunga paspa
main apne zabt ki had se pareshani se niklunga
mohabbat ki shu'a'on se bikhar kar rah gai hasti
main kaise hasraton ki ab nigahbani se niklunga
basaya hai muqaddar ne mujhe teri lakiron mein
agar nikla to main apni hi nadani se niklunga
meri hasti miTa dena nahin mumkin hai kuza-gar
agar miTTi mein gundhega to main pani se niklunga
main KHud apni musibat aap ban ke aaya hun 'aKHtar'
fana ho kar hi ab main soz-e-lafani se niklunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.