lahu ko dil ke jo sarf-e-bahaar kar na sake
lahū ko dil ke jo sarf-e-bahār kar na sake
ilaaj gardish-e-lail-o-nahār kar na sake
ḳhudā na karda gire koī apnī nazroñ se
na ho ki apnā koī e.atibār kar na sake
bhar aa.ī aañkh sar-e-bazm ho ga.e ḳhāmosh
ham un se baat jo begāna-vār kar na sake
vo aa ga.e to simaT aa.e sab nigāhoñ meñ
hazāroñ ḳhvāb ki jin kā shumār kar na sake
tumhāre sāmne aksar rahī hai nok-e-zabāñ
vo ek baat jo pāyān-e-kār kar na sake
huiiñ jo qalb meñ paivast ho gayā chhalnī
vo hasrateñ ki jinheñ ashk-bār kar na sake
harīf-e-kām-o-dahan ban ga.iiñ fanā na huiiñ
vo talḳhiyāñ ki jinheñ ḳhush-gavār kar na sake
kisī se tark-e-ta.alluq junūñ kī shah pā kar
hazār baar kiyā ek baar kar na sake
lahu ko dil ke jo sarf-e-bahaar kar na sake
ilaj gardish-e-lail-o-nahaar kar na sake
KHuda na karda gire koi apni nazron se
na ho ki apna koi eatibar kar na sake
bhar aai aankh sar-e-bazm ho gae KHamosh
hum un se baat jo begana-war kar na sake
wo aa gae to simaT aae sab nigahon mein
hazaron KHwab ki jin ka shumar kar na sake
tumhaare samne aksar rahi hai nok-e-zaban
wo ek baat jo payan-e-kar kar na sake
huin jo qalb mein paiwast ho gaya chhalni
wo hasraten ki jinhen ashk-bar kar na sake
harif-e-kaam-o-dahan ban gain fana na huin
wo talKHiyan ki jinhen KHush-gawar kar na sake
kisi se tark-e-talluq junun ki shah pa kar
hazar bar kiya ek bar kar na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.