lahu mein apne sar-e-sham jal bujha suraj
lahū meñ apne sar-e-shām jal bujhā sūraj
ik isti.āra mirī aarzū kā thā sūraj
hai umr-bhar kī rifāqat magar mire ġham se
na āshnā haiñ sitāre na āshnā sūraj
ik aisā daur bhī guzrā tirī lagan meñ ki jab
mirī jabīñ pe sitāre the zer-e-pā sūraj
ye mujh ko kaise añdheroñ meñ lā ke chhoḌ gayā
mire jahān-e-tarab kā gurez pā sūraj
sunā hai aa.ine sūraj ke haiñ mah-o-parvīñ
maiñ sochtā huuñ ki hai kis kā aa.ina sūraj
hamāre ahd meñ min-jumla-e-nujūm sahī
rahā hai apne zamāne meñ devtā sūraj
shab-e-siyah kī pur-asrār kār-gāhoñ meñ
sahar tarāsh rahī hai koī nayā sūraj
har ek zarre meñ hai bāz-gasht-e-nūr-e-azal
zamīñ kī ḳhaak meñ zam haiñ hazār-hā sūraj
lahu mein apne sar-e-sham jal bujha suraj
ek istiara meri aarzu ka tha suraj
hai umr-bhar ki rifaqat magar mere gham se
na aashna hain sitare na aashna suraj
ek aisa daur bhi guzra teri lagan mein ki jab
meri jabin pe sitare the zer-e-pa suraj
ye mujh ko kaise andheron mein la ke chhoD gaya
mere jahan-e-tarab ka gurez pa suraj
suna hai aaine suraj ke hain mah-o-parwin
main sochta hun ki hai kis ka aaina suraj
hamare ahd mein min-jumla-e-nujum sahi
raha hai apne zamane mein dewta suraj
shab-e-siyah ki pur-asrar kar-gahon mein
sahar tarash rahi hai koi naya suraj
har ek zarre mein hai baz-gasht-e-nur-e-azal
zamin ki KHak mein zam hain hazar-ha suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.