lahu mein dub ke ubhrun to sans jalta ho
lahū meñ duub ke ubhrūñ to saañs jaltā ho
havā ke hoñToñ pe ḳhushbū kā sard qissa ho
samundaroñ meñ utar kar bhī jal rahā huuñ maiñ
kahīñ to sard havāoñ ne sar uThāyā ho
piroūñ shāḳhoñ kī palkoñ meñ titliyoñ ke par
ki fasl-e-marg meñ rangoñ kā ik tamāshā ho
vahī fazā ho vahī paañv ke tale miTTī
jidhar bhī jā.ūñ purāne dinoñ kā charchā ho
parā.e shahroñ meñ har lamha chauñk chauñk paḌūñ
mire navāh mire apne ghar kā saayā ho
kisī ke karb kī ḳhushbū ke saa.e meñ 'ahmad'
mire hī sahn meñ soyā huā sharāra ho
lahu mein dub ke ubhrun to sans jalta ho
hawa ke honTon pe KHushbu ka sard qissa ho
samundaron mein utar kar bhi jal raha hun main
kahin to sard hawaon ne sar uThaya ho
piroun shaKHon ki palkon mein titliyon ke par
ki fasl-e-marg mein rangon ka ek tamasha ho
wahi faza ho wahi panw ke tale miTTi
jidhar bhi jaun purane dinon ka charcha ho
parae shahron mein har lamha chaunk chaunk paDun
mere nawah mere apne ghar ka saya ho
kisi ke karb ki KHushbu ke sae mein 'ahmad'
mere hi sahn mein soya hua sharara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.