lahu mein Duba hua mila hai wafa ka har ek usul tujhko
lahū meñ Duubā huā milā hai vafā kā har ik usuul tujh ko
maiñ jāntā huuñ pasand kyuuñ haiñ gulāb ke surḳh phuul tujh ko
gavāh ban kar batā rahī haiñ ye surḳhiyāñ terī uñgliyoñ kī
sameTne paḌ rahe haiñ ḳhuñḳhār jañgaloñ ke babūl tujh ko
thakī anā kā safar kahāñ tak kahīñ to ruk jā kahīñ to dam le
banā diyā hai masāfatoñ ne tire qadam kī hī dhuul tujh ko
ye reza reza sī ārzūeñ kabhī to kar de mire havāle
maiñ apne bikhre badan kī mānind dekhtā huuñ malūl tujh ko
ufuq ke us paar bhī munāsib nahīñ hai ādarsh kā ta.āqub
kahīñ tujhe be-vatan na kar de tirā ye shauq-e-fuzūl tujh ko
vo ḳhat raqīboñ ke haath aayā likhā thā jo mere naam tū ne
kahāñ kahāñ kar chukī hai rusvā tirī ye chhoTī sī bhuul tujh ko
tujhī ko nafrat rahī hai jin se vo jin kī ta.abīr sirf tū hai
vo āḳhir-e-shab ke ḳhvāb karne paḌeñge āḳhir qubūl tujh ko
'qatīl' kitne hī lafz apnī asaas kā zā.iqa badal leñ
agar batā duuñ kabhī maiñ apnī ġhazal kī shān-e-nuzūl tujh ko
lahu mein Duba hua mila hai wafa ka har ek usul tujh ko
main jaanta hun pasand kyun hain gulab ke surKH phul tujh ko
gawah ban kar bata rahi hain ye surKHiyan teri ungliyon ki
sameTne paD rahe hain KHunKHar jangalon ke babul tujh ko
thaki ana ka safar kahan tak kahin to ruk ja kahin to dam le
bana diya hai masafaton ne tere qadam ki hi dhul tujh ko
ye reza reza si aarzuen kabhi to kar de mere hawale
main apne bikhre badan ki manind dekhta hun malul tujh ko
ufuq ke us par bhi munasib nahin hai aadarsh ka taaqub
kahin tujhe be-watan na kar de tera ye shauq-e-fuzul tujh ko
wo KHat raqibon ke hath aaya likha tha jo mere nam tu ne
kahan kahan kar chuki hai ruswa teri ye chhoTi si bhul tujh ko
tujhi ko nafrat rahi hai jin se wo jin ki tabir sirf tu hai
wo aaKHir-e-shab ke KHwab karne paDenge aaKHir qubul tujh ko
'qatil' kitne hi lafz apni asas ka zaiqa badal len
agar bata dun kabhi main apni ghazal ki shan-e-nuzul tujh ko
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 128)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.