lahu mein lithDe hue parinde talash karte hain aashiyana
lahu mein lithDe hue parinde talash karte hain aashiyana
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
lahū meñ lithḌe hue parinde talāsh karte haiñ āshiyāna
vo shaḳhs chāhe to lauT aa.egā ḳhushbuoñ kā hasīñ zamāna
ġhamoñ kī chakkī meñ pis ke merī to saarī buniyād hil ga.ī hai
ukhaḌne vaalā hai rafta-rafta mirī tamanna kā shāmiyāna
azal se qismat meñ ham faqīroñ kī hijratoñ ke ġhubār aa.e
hamāre jaisoñ kā terī duniyā meñ thā nahīñ dā.imī Thikāna
hamārī hālat pe dasht vāloñ ne girya karte sajā.ī mahfil
hamārī vahshat pe dard nāche the karb likhte rahe fasāna
maiñ apne bachpan se sun rahā huuñ kalām baahū saḳhī kā 'jāmī'
faqīr baahū kī sab atā hai mirā suḳhan bhī hai ārifāna
lahu mein lithDe hue parinde talash karte hain aashiyana
wo shaKHs chahe to lauT aaega KHushbuon ka hasin zamana
ghamon ki chakki mein pis ke meri to sari buniyaad hil gai hai
ukhaDne wala hai rafta-rafta meri tamanna ka shamiyana
azal se qismat mein hum faqiron ki hijraton ke ghubar aae
hamare jaison ka teri duniya mein tha nahin daimi Thikana
hamari haalat pe dasht walon ne girya karte sajai mahfil
hamari wahshat pe dard nache the karb likhte rahe fasana
main apne bachpan se sun raha hun kalam bahu saKHi ka 'jami'
faqir bahu ki sab ata hai mera suKHan bhi hai aarifana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.