lahu mein nachti hameshgi udas ho ke rah gai
lahū meñ nāchtī hameshgī udaas ho ke rah ga.ī
nihāl karne vaalī narm jhiil pyaas ho ke rah ga.ī
vo lazzatoñ bharī mohabbatoñ bharī milan kī ek shab
kabhī na puurī hone vaalī koī aas ho ke rah ga.ī
samajh rahā thā maiñ jise suhāg raat kī vishāl rut
mire qarīb aate aate vo qayās ho ke rah ga.ī
hare libās meñ lagī bhalī vo ek dūdhiyā kalī
na jaane kis taraf chalī ki ḳhushk ghaas ho ke rah ga.ī
uchhālnā jo chāhtā thā maiñ avaam ke liye 'zafar'
mire ḳhayāl kī vo lahr harf-e-ḳhās ho ke rah ga.ī
lahu mein nachti hameshgi udas ho ke rah gai
nihaal karne wali narm jhil pyas ho ke rah gai
wo lazzaton bhari mohabbaton bhari milan ki ek shab
kabhi na puri hone wali koi aas ho ke rah gai
samajh raha tha main jise suhag raat ki wishaal rut
mere qarib aate aate wo qayas ho ke rah gai
hare libas mein lagi bhali wo ek dudhiya kali
na jaane kis taraf chali ki KHushk ghas ho ke rah gai
uchhaalna jo chahta tha main awam ke liye 'zafar'
mere KHayal ki wo lahr harf-e-KHas ho ke rah gai
- Book : Mazhab e Ishq (Pg. 570)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.