lahu na aankh se Tapka na zaKHm-e-dil ubhre
lahū na aañkh se Tapkā na zaḳhm-e-dil ubhre
bharī bahār ke ye din bahut girāñ guzre
vo pur-fareb nigāheñ vo e'timād kī maut
na jaane zehn pe maazī ke naqsh kyoñ ubhre
hasīn lamhe mirī zindagī ke lauTā de
jo aarzū meñ kaTe terī yaad meñ guzre
junūñ-navāz nigāheñ haiñ rahnumā apnī
na jaane qāfila-e-zindagī kahāñ Thahre
savāl-e-tark-e-vafā tum ne ḳhud uThāyā thā
udaas kyoñ haiñ nigāheñ ye baal yuuñ bikhre
na jaane aaj hī kyoñ dil kī nabz Duub ga.ī
tire dayār se ham yuuñ to bārhā guzre
yahī hai jān-e-mohabbat yahī shu.ūr-e-vafā
zabāñ ḳhamosh nigāhoñ pe laaj ke pahre
qadam qadam pe fasāne baneñge ai 'māhir'
yahāñ na aañkh hī bhīge na muñh kā rang utre
lahu na aankh se Tapka na zaKHm-e-dil ubhre
bhari bahaar ke ye din bahut giran guzre
wo pur-fareb nigahen wo e'timad ki maut
na jaane zehn pe mazi ke naqsh kyon ubhre
hasin lamhe meri zindagi ke lauTa de
jo aarzu mein kaTe teri yaad mein guzre
junun-nawaz nigahen hain rahnuma apni
na jaane qafila-e-zindagi kahan Thahre
sawal-e-tark-e-wafa tum ne KHud uThaya tha
udas kyon hain nigahen ye baal yun bikhre
na jaane aaj hi kyon dil ki nabz Dub gai
tere dayar se hum yun to barha guzre
yahi hai jaan-e-mohabbat yahi shuur-e-wafa
zaban KHamosh nigahon pe laj ke pahre
qadam qadam pe fasane banenge ai 'mahir'
yahan na aankh hi bhige na munh ka rang utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.