lahu ne bhigoe muhajir parinde
lahū ne bhigo.e muhājir parinde
qatāroñ meñ ro.e muhājir parinde
zamīñ ho ga.ī tang terī ḳhudāyā
havāoñ meñ so.e muhājir parinde
shikārī parindoñ ko kaaTe hai aise
ki hoñ jaise bo.e muhājir parinde
ḳhudāyā ḳhabar ḳhair kī aa.e jaldī
abhī tak haiñ kho.e muhājir parinde
bahut yaad karte haiñ ahl-e-chaman ko
vatan se piro.e muhājir parinde
jo ġhurbat kī golī se maare ga.e the
vo lālach ne Dho.e muhājir parinde
jo the bin paroñ ke 'zafar' uḌ na paa.e
samundar Dubo.e muhājir parinde
lahu ne bhigoe muhajir parinde
qataron mein roe muhajir parinde
zamin ho gai tang teri KHudaya
hawaon mein soe muhajir parinde
shikari parindon ko kaTe hai aise
ki hon jaise boe muhajir parinde
KHudaya KHabar KHair ki aae jaldi
abhi tak hain khoe muhajir parinde
bahut yaad karte hain ahl-e-chaman ko
watan se piroe muhajir parinde
jo ghurbat ki goli se mare gae the
wo lalach ne Dhoe muhajir parinde
jo the bin paron ke 'zafar' uD na pae
samundar Duboe muhajir parinde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.