lahu se tar jo KHanjar hain ye nafrat ki tamazat hai
lahū se tar jo ḳhanjar haiñ ye nafrat kī tamāzat hai
ki ab jangal se bhī bad-tar mire shahroñ kī hālat hai
kisī din toḌne vāloñ ko ye ehsās ho ai kaash
mahaktā phuul Tahnī par mohabbat kī alāmat hai
baḌā.ī hai miyāñ saarī kī saarī aql-o-dānish se
vagarna aadmī meñ kab pahāḌoñ jaisī tāqat hai
saḳhī kuchh to atā ho jaa.e ab tere ḳhazāne se
mire dast-e-duā meñ dekh mere dil kī hājat hai
jo apnī zaat meñ gum haiñ bhalā un ko ḳhabar kyā ho
bichhaḌ kar ḳhud se jiine meñ aziyyat hī aziyyat hai
nikal kar bāġh-e-jannat se ye kis duniyā meñ aaya huuñ
jahāñ jiinā aziyyat hai jahāñ marnā musībat hai
bas ik TuuTā huā dil hai vajūd-e-ḳhāk meñ 'nāsir'
batā is aa.ine kī ab koī juḌne kī sūrat hai
lahu se tar jo KHanjar hain ye nafrat ki tamazat hai
ki ab jangal se bhi bad-tar mere shahron ki haalat hai
kisi din toDne walon ko ye ehsas ho ai kash
mahakta phul Tahni par mohabbat ki alamat hai
baDai hai miyan sari ki sari aql-o-danish se
wagarna aadmi mein kab pahaDon jaisi taqat hai
saKHi kuchh to ata ho jae ab tere KHazane se
mere dast-e-dua mein dekh mere dil ki hajat hai
jo apni zat mein gum hain bhala un ko KHabar kya ho
bichhaD kar KHud se jine mein aziyyat hi aziyyat hai
nikal kar bagh-e-jannat se ye kis duniya mein aaya hun
jahan jina aziyyat hai jahan marna musibat hai
bas ek TuTa hua dil hai wajud-e-KHak mein 'nasir'
bata is aaine ki ab koi juDne ki surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.