lahuluhan hain hum aur jaan-balab bhi nahin
lahūluhān haiñ ham aur jāñ-balab bhī nahīñ
sitam-shi’āroñ ko ehsās is kā ab bhī nahīñ
jab iḳhtiyār saped-o-siyāh kā thā hameñ
hamāre ghar meñ farozāñ thī sham' tab bhī nahīñ
luTā dī jis ke liye sab matā’-e-qalb-o-jigar
usī ko merī vafā kā yaqīn ab bhī nahīñ
sunegā kaun vahāñ dāstān-e-ġham merī
maiñ us kī bazm meñ ik harf-e-zer-e-lab bhī nahīñ
basar jo hotī tire gesuoñ ke saa.e meñ
mire nasīb meñ aisī to ek shab bhī nahīñ
unheñ to aap na Thahrā.eñ mūrid-e-ilzām
sitam-nasīb haiñ lekin vo be-adab bhī nahīñ
nigāh pher le duniyā jo merī jānib se
maiñ aisā dosto be-nām be-nasab bhī nahīñ
karam-navāziyāñ un kī bhī haiñ 'ajab 'dānish'
ki aañkh nam bhī nahīñ shikva-sanj lab bhī nahīñ
lahuluhan hain hum aur jaan-balab bhi nahin
sitam-shi’aron ko ehsas is ka ab bhi nahin
jab iKHtiyar saped-o-siyah ka tha hamein
hamare ghar mein farozan thi sham' tab bhi nahin
luTa di jis ke liye sab mata’-e-qalb-o-jigar
usi ko meri wafa ka yaqin ab bhi nahin
sunega kaun wahan dastan-e-gham meri
main us ki bazm mein ek harf-e-zer-e-lab bhi nahin
basar jo hoti tere gesuon ke sae mein
mere nasib mein aisi to ek shab bhi nahin
unhen to aap na Thahraen murid-e-ilzam
sitam-nasib hain lekin wo be-adab bhi nahin
nigah pher le duniya jo meri jaanib se
main aisa dosto be-nam be-nasab bhi nahin
karam-nawaziyan un ki bhi hain 'ajab 'danish'
ki aankh nam bhi nahin shikwa-sanj lab bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.