laila nahin to manzar-e-mahmil nahin raha
lailā nahīñ to manzar-e-mahmil nahīñ rahā
majnūñ bhī aaj 'ishq ke qābil nahīñ rahā
dil ko kisī ke bāñdhne qābil nahīñ rahā
dam-ḳham vo tujh meñ kākul-e-qātil nahīñ rahā
ai jān-e-jāñ yūñhī tirā chehra sajā rahe
raunaq hī ruḳh kī jā.egī jo til nahīñ rahā
shaitān aaj chain se baiThā hai apne ghar
insān kis gunāh kā 'āmil nahīñ rahā
siine meñ aadmī ke pa.e-nazm-e-zindagī
ik lothḌā hai lahm kā ab dil nahīñ rahā
'abrār' kis se kis kī shikāyat karegā tū
‘ādil bhī terā aaj to ‘ādil nahīñ rahā
laila nahin to manzar-e-mahmil nahin raha
majnun bhi aaj 'ishq ke qabil nahin raha
dil ko kisi ke bandhne qabil nahin raha
dam-KHam wo tujh mein kakul-e-qatil nahin raha
ai jaan-e-jaan yunhi tera chehra saja rahe
raunaq hi ruKH ki jaegi jo til nahin raha
shaitan aaj chain se baiTha hai apne ghar
insan kis gunah ka 'amil nahin raha
sine mein aadmi ke pae-nazm-e-zindagi
ek lothDa hai lahm ka ab dil nahin raha
'abrar' kis se kis ki shikayat karega tu
‘adil bhi tera aaj to ‘adil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.