lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan
lakhna.ū shahr meñ sab kuchh hai dil-āvez yahāñ
fikr 'harshit' kī huī aur bhī zarḳhez yahāñ
un kī takmīl na ho paa.ī alag baat magar
kis kī āñkheñ na huiiñ ḳhvāb se labrez yahāñ
us ne taḳhlīq-e-suḳhan ke liye baḳhshā hai qalam
ham bhī karte nahīñ tanqīd se parhez yahāñ
she'r kahnā bhī to mushkil hai tire hijr ke baa'd
pen kahīñ baks kahīñ lamp kahīñ mez yahāñ
vahshateñ naach rahī haiñ yahāñ chāroñ jānib
shahr kā shahr hī lagtā hai junūñ-ḳhez yahāñ
ham se sambhleñge nahīñ aap kī tā'rīf ke pul
aur chaltī haiñ havā.eñ bhī bahut tez yahāñ
lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan
fikr 'harshit' ki hui aur bhi zarKHez yahan
un ki takmil na ho pai alag baat magar
kis ki aankhen na huin KHwab se labrez yahan
us ne taKHliq-e-suKHan ke liye baKHsha hai qalam
hum bhi karte nahin tanqid se parhez yahan
she'r kahna bhi to mushkil hai tere hijr ke ba'd
pen kahin baks kahin lamp kahin mez yahan
wahshaten nach rahi hain yahan chaaron jaanib
shahr ka shahr hi lagta hai junun-KHez yahan
hum se sambhlenge nahin aap ki ta'rif ke pul
aur chalti hain hawaen bhi bahut tez yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.