lakir khincho miTao tumhein ijazat hai
lakīr khīñcho miTāo tumheñ ijāzat hai
hamāre dil ko dukhāo tumheñ ijāzat hai
tumhāre naam hai mahfil tumhāre naam hai shaam
diye jalāo bujhāo tumheñ ijāzat hai
ga.e dinoñ meñ samundar jahāñ pe hotā thā
vahāñ pe ret bichhāo tumheñ ijāzat hai
jo darmiyān meñ thī baat abhī talak apne
zamāne-bhar ko batāo tumheñ ijāzat hai
tumhārī raah kī dīvār ham nahīñ baneñge
jahāñ bhī jaanā hai jaao tumheñ ijāzat hai
lakir khincho miTao tumhein ijazat hai
hamare dil ko dukhao tumhein ijazat hai
tumhaare nam hai mahfil tumhaare nam hai sham
diye jalao bujhao tumhein ijazat hai
gae dinon mein samundar jahan pe hota tha
wahan pe ret bichhao tumhein ijazat hai
jo darmiyan mein thi baat abhi talak apne
zamane-bhar ko batao tumhein ijazat hai
tumhaari rah ki diwar hum nahin banenge
jahan bhi jaana hai jao tumhein ijazat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.