lambi KHamoshi ki sazish ko harae koi
lambī ḳhāmoshī kī sāzish ko harā.e koī
merī āvāz meñ āvāz milā.e koī
maiñ bhī uḌ saktā huuñ ākāsh ko chhū saktā huuñ
merā soyā huā ehsās jagā.e koī
koī to hogā mujhe DhūñDne vaalā yaaro
merā gumnām pata sab ko batā.e koī
aisā lagtā ki sab bhuul ga.e haiñ mujh ko
mere darvāze pe āvāz lagā.e koī
har taraf sirf sarāb aur sarāb aur sarāb
kab tak āñkhoñ se bhalā pyaas bujhā.e koī
sach hai maiñ ne hī ḳhamoshī kī guzārish kī thī
ab mirī gum-shuda āvāz to lauTā.e koī
jis ko sun kar mire darvāze pe lag jaa.e hujūm
is tarah kī koī afvāh uḌaa.e koī
lambi KHamoshi ki sazish ko harae koi
meri aawaz mein aawaz milae koi
main bhi uD sakta hun aakash ko chhu sakta hun
mera soya hua ehsas jagae koi
koi to hoga mujhe DhunDne wala yaro
mera gumnam pata sab ko batae koi
aisa lagta ki sab bhul gae hain mujh ko
mere darwaze pe aawaz lagae koi
har taraf sirf sarab aur sarab aur sarab
kab tak aankhon se bhala pyas bujhae koi
sach hai main ne hi KHamoshi ki guzarish ki thi
ab meri gum-shuda aawaz to lauTae koi
jis ko sun kar mere darwaze pe lag jae hujum
is tarah ki koi afwah uDae koi
- Book : Namak (Pg. 137)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.