lamha lamha pighal raha hun main
lamha lamha pighal rahā huuñ maiñ
sham' kī tarh jal rahā huuñ maiñ
apnā chehra badal nahīñ paayā
aa.ina phir badal rahā huuñ maiñ
aap kā kyoñ udaas hai chehra
gir paḌā thā sañbhal rahā huuñ maiñ
mujh se raushan haiñ rāste saare
āñdhiyoñ tum ko khal rahā huuñ maiñ
aa rahī hai sadā-e-zindābād
sirf karvaT badal rahā huuñ maiñ
jis ko sadiyāñ bhulā na pā.eñgī
ek aisā bhī pal rahā huuñ maiñ
apne ajdād kī virāsat ko
apne pairoñ kuchal rahā huuñ maiñ
ye mohabbat ḳhulūs hamdardī
sab ke mā'nī badal rahā huuñ maiñ
har taraf nuur sā barastā hai
mai-kade se nikal rahā huuñ maiñ
'mast' raushan hai shāhrāh-e-hayat
jāñ-nisār-e-ġhazal rahā huuñ maiñ
lamha lamha pighal raha hun main
sham' ki tarh jal raha hun main
apna chehra badal nahin paya
aaina phir badal raha hun main
aap ka kyon udas hai chehra
gir paDa tha sanbhal raha hun main
mujh se raushan hain raste sare
aandhiyon tum ko khal raha hun main
aa rahi hai sada-e-zindabaad
sirf karwaT badal raha hun main
jis ko sadiyan bhula na paengi
ek aisa bhi pal raha hun main
apne ajdad ki wirasat ko
apne pairon kuchal raha hun main
ye mohabbat KHulus hamdardi
sab ke ma'ni badal raha hun main
har taraf nur sa barasta hai
mai-kade se nikal raha hun main
'mast' raushan hai shahrah-e-hayat
jaan-nisar-e-ghazal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.