lamha-lamha shaKH-e-shafaq se rang bikharte dekha hai
lamha-lamha shāḳh-e-shafaq se rang bikharte dekhā hai
aur kabhī ḳhāmosh shajar se us ko utarte dekhā hai
aage jaao qadam baḌhāo shāyad us se mil jaao tum
ek zarā sā moḌ se pahle us ko guzarte dekhā hai
vo jo bahut nirbhīk thā ham meñ jangal meñ be-ḳhauf rahā
jhiil sī sundar āñkhoñ se us ko Darte dekhā hai
ek thā sāthī majnūñ apnā dīvānoñ meñ naam kiyā
us ko Darte sab se laḌte pyaar bhī karte dekhā hai
hañstā paanī bahtā dariyā ye sab jaane kis kā hai
shaam kā sūraj raat kā chanda us meñ utarte dekhā hai
itnā vo gum-sum bhī nahīñ hai 'ajmal' ne jo sochā hai
us se jā kar baat karo kuchh ham ne karte dekhā hai
lamha-lamha shaKH-e-shafaq se rang bikharte dekha hai
aur kabhi KHamosh shajar se us ko utarte dekha hai
aage jao qadam baDhao shayad us se mil jao tum
ek zara sa moD se pahle us ko guzarte dekha hai
wo jo bahut nirbhik tha hum mein jangal mein be-KHauf raha
jhil si sundar aankhon se us ko Darte dekha hai
ek tha sathi majnun apna diwanon mein nam kiya
us ko Darte sab se laDte pyar bhi karte dekha hai
hansta pani bahta dariya ye sab jaane kis ka hai
sham ka suraj raat ka chanda us mein utarte dekha hai
itna wo gum-sum bhi nahin hai 'ajmal' ne jo socha hai
us se ja kar baat karo kuchh hum ne karte dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.