lamhat zindagi mein kuchh aise bhi aae hain
lamhāt zindagī meñ kuchh aise bhī aa.e haiñ
dil par paḌī hai choT to ham muskurā.e haiñ
yuuñ ham ne gulsitāñ se añdhere miTā.e haiñ
bujhte hue charāġh lahū se jalā.e haiñ
kuchh ġham nahīñ jo phailī hai har-sū ġhamoñ kī dhuup
sar par hamāre aap kī zulfoñ ke saa.e haiñ
huuñ muntazir vo aa.eñ to un par karūñ nisār
palkoñ pe maiñ ne chand sitāre sajā.e haiñ
daur-e-ḳhizāñ bhī dil se farāmosh ho gayā
ab ke baras bahār ne vo gul khilā.e haiñ
un kā maqām kam nahīñ lāt-o-manāt se
logoñ ne ḳhvāhishāt ke jo but banā.e haiñ
sab ke diloñ meñ ātish-e-nafrat hai sho’la-zan
'dānish' ham aaj kaun sī bastī meñ aa.e haiñ
lamhat zindagi mein kuchh aise bhi aae hain
dil par paDi hai choT to hum muskurae hain
yun hum ne gulsitan se andhere miTae hain
bujhte hue charagh lahu se jalae hain
kuchh gham nahin jo phaili hai har-su ghamon ki dhup
sar par hamare aap ki zulfon ke sae hain
hun muntazir wo aaen to un par karun nisar
palkon pe main ne chand sitare sajae hain
daur-e-KHizan bhi dil se faramosh ho gaya
ab ke baras bahaar ne wo gul khilae hain
un ka maqam kam nahin lat-o-manat se
logon ne KHwahishat ke jo but banae hain
sab ke dilon mein aatish-e-nafrat hai sho’la-zan
'danish' hum aaj kaun si basti mein aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.