lamhe-bhar mein tumne meri har KHubi ko KHam kiya
lamhe-bhar mein tumne meri har KHubi ko KHam kiya
Amritanshu Sharma
MORE BYAmritanshu Sharma
lamhe-bhar meñ tum ne merī har ḳhūbī ko ḳhaam kiyā
maiñ ne kahā ki naam kiyā hai tum ne kahā badnām kiyā
apnā kaam thā us tak jaanā gardish ho yā sozish ho
us ke dar tak pahuñche dastak dete hī ārām kiyā
jis ke sar par taaj kabhī thā fikr meñ guzrī us kī bhī
dekhe duniyā is ulfat ne kyā terā anjām kiyā
likhnī thī betābi dil kī 'amrit' ḳhat meñ yuuñ likkhī
kuchh kaaTā kuchh likkhā qāsid ke hāthoñ paiġhām kiyā
lamhe-bhar mein tum ne meri har KHubi ko KHam kiya
main ne kaha ki nam kiya hai tum ne kaha badnam kiya
apna kaam tha us tak jaana gardish ho ya sozish ho
us ke dar tak pahunche dastak dete hi aaram kiya
jis ke sar par taj kabhi tha fikr mein guzri us ki bhi
dekhe duniya is ulfat ne kya tera anjam kiya
likhni thi betabi dil ki 'amrit' KHat mein yun likkhi
kuchh kaTa kuchh likkha qasid ke hathon paigham kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.