lamhon ke parinde hain liye chonch mein kankar
lamhoñ ke parinde haiñ liye choñch meñ kankar
sahmā sā Darā sā hai khaḌā ziist kā lashkar
ik phuul lab-e-dariyā jo Daalī se girā thā
paanī meñ gayā jāniye kis samt vo bah kar
chubhtā hai har ik lamha jo ik ḳhaar kī sūrat
āñkhoñ se mirī chhīn le ab koī vo manzar
sach ye bhī ki dushvār hai rasta tire ghar kā
sach ye bhī ki raste meñ hai dariyā na samundar
talvār liye log mire ghar meñ khaḌe the
miTTī kā 'sabā' farsh pe TuuTā thā kabūtar
lamhon ke parinde hain liye chonch mein kankar
sahma sa Dara sa hai khaDa zist ka lashkar
ek phul lab-e-dariya jo Dali se gira tha
pani mein gaya jaaniye kis samt wo bah kar
chubhta hai har ek lamha jo ek KHar ki surat
aankhon se meri chhin le ab koi wo manzar
sach ye bhi ki dushwar hai rasta tere ghar ka
sach ye bhi ki raste mein hai dariya na samundar
talwar liye log mere ghar mein khaDe the
miTTi ka 'saba' farsh pe TuTa tha kabutar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.