laraz uTTha tha honTon par koi iqrar taqriban
laraz uTThā thā hoñToñ par koī iqrār taqrīban
nigāheñ kar chukī thiiñ ishq kā iz.hār taqrīban
use zehnī talātum se guzar kar dil tak aanā thā
aur us ne kar liyā thā aadhā dariyā paar taqrīban
hamāre darmiyāñ phir aa ga.e bhūle hue maazī
vagarna gir chukī thī biich kī dīvār taqrīban
kabhī haftoñ mahīnoñ meñ zarā kuchh baat ho to ho
vagarna kho chukī hai lazzat-e-guftār taqrīban
abhī pichhle dinoñ tak mutma.in thā dil ki tum to ho
magar ab ḳhatm haiñ taskīn ke āsār taqrīban
laraz uTTha tha honTon par koi iqrar taqriban
nigahen kar chuki thin ishq ka izhaar taqriban
use zehni talatum se guzar kar dil tak aana tha
aur us ne kar liya tha aadha dariya par taqriban
hamare darmiyan phir aa gae bhule hue mazi
wagarna gir chuki thi bich ki diwar taqriban
kabhi hafton mahinon mein zara kuchh baat ho to ho
wagarna kho chuki hai lazzat-e-guftar taqriban
abhi pichhle dinon tak mutmain tha dil ki tum to ho
magar ab KHatm hain taskin ke aasar taqriban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.