larazta rahta hun kar de na pash-pash mujhe
laraztā rahtā huuñ kar de na pāsh-pāsh mujhe
tarāshtā hai 'ajab taur but-tarāsh mujhe
kahīñ talāsh kā hāsil tirā badan hī na ho
na.e jazīra-e-duniyā kī hai talāsh mujhe
kisī ke husn ne baḳhshī hai mujh ko bīnā.ī
kisī ke lams ne baḳhshā hai irti'āsh mujhe
agar maiñ haar chukā huuñ mujhe yaqīn dilā
shikast hī nahīñ lagtī shikast-e-fāsh mujhe
koī tamanna taḌaptī hai mere siine meñ
sunā.ī detī hai āvāz-e-dil-ḳharāsh mujhe
maiñ apne aap meñ har roz qatl hotā huuñ
mire makān se miltī hai roz laash mujhe
larazta rahta hun kar de na pash-pash mujhe
tarashta hai 'ajab taur but-tarash mujhe
kahin talash ka hasil tera badan hi na ho
nae jazira-e-duniya ki hai talash mujhe
kisi ke husn ne baKHshi hai mujh ko binai
kisi ke lams ne baKHsha hai irti'ash mujhe
agar main haar chuka hun mujhe yaqin dila
shikast hi nahin lagti shikast-e-fash mujhe
koi tamanna taDapti hai mere sine mein
sunai deti hai aawaz-e-dil-KHarash mujhe
main apne aap mein har roz qatl hota hun
mere makan se milti hai roz lash mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.